یوں ہوا چلی


یوں ہوا چلی

***

یوں ہوا چلی
گرد سے اٹا، تن بدن مرا
وہ اٹھا چلی
یوں ہوا چلی
میں کہ خواب گر، غرق سر بہ سر
حسن و عشق میں، رنگ و نور میں
زندگی کی تھی بس یونہی طلب
میرے اس دل_ ناصبور میں
لہر وقت کی، سخت سنگ دل
سب بہا چلی
یوں ہوا چلی
نقش جاں فزا، رنگ دل رُبا
حسن کی ردا پر نقوش تھے ایسے جا بہ جا
فن کے آسماں پر نجوم تھے
قافلے سبھی جو وفا کے تھے، پرہجوم تھے
نقش مٹ گئے، رنگ اتر گئے
تارے بجھ گئے
قافلے لٹے
میں کھڑا ہوں اب، اپنے عہد میں
چارسو مرے سمتیں مٹ گئیں
ہوں خجل خجل، روح مضمحل
سوچتا ہوں میں
کب وفا چلی
یوں ہوا چلی۔۔!۔

YuN Hawa Chali

***

YuN Hawa Chali
Gard se ataa, tan-badan mera
Wo uTha chali
YuN Hawa Chali
Main k khwab-gar, gharq sar-ba-sar
Husn-o-ishq me, rang-o-noor main
Zindagi ki thi bus yuNhi talab
Meray is dil-e-naasaboor main
Lehr waqt ki, sakht sang-dil
Sub baha chali
YuN Hawa Chali
Naqsh jaaNfaza, rang dil-rubaa
Husn ki ridaa par naqoosh thay aesay ja-ba-ja
Fan k aasmaaN par najoom thay
Qaaflay sabhi jo wafa k thay, purhujoom thay
Naqsh mit gaye, rang utar gaye
Taaray bujh gaye!
Qaaflay lutay!
Main khara hoN ab, apne ehd main
Chaarsoo meray simteN mit gayiN
HooN khajil khajil, rooh muzmahil
Sochta hoN main
Kab wafa chali
YuN Hawa Chali

About Rafiullah Mian

I am journalist by profession. Poet and a story writer.

Posted on June 27, 2011, in Nazm and tagged , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , . Bookmark the permalink. 4 Comments.

  1. Aap ki taRap ne taRpa dia. Waqayi waqt ne ummat ko jahan la khaRa kiya hai woh bahot hi alam naak hai. Allah hamare dilon ko qaraar de aur dushmanoN ko hidayat. Allah ki zaat se ummeed hai aur bas ham Allah hi ki taraf dekhte haiN.

    Like

  2. youn hawa chali pahli baar parhi kal to samajh mein nahin aayi
    Aaj phir parhi to laga ke phir aaj aap ne kamaal kiya hai. mazi ko khoob taab naak dekha hai aur aaj hawayen chal rahi hain jo sab kuch le chali hain…..
    khas kar yeh band

    Fan k aasmaaN par najoom thay
    Qaaflay sabhi jo wafa k thay, purhujoom thay
    Naqsh mit gaye, rang utar gaye
    Taaray bujh gaye!
    Qaaflay lutay!

    kekin mere bhai aaj bhi najoom hain aur hujoom hain. bas intezaar…
    Nazm bahot achhi hai.

    Like

    • Nazm k liye izhaar-e-pasandeedgi par mamnoon hoN.
      Ap ka kehna sahi he. Sitaaray bhi hein, Hujoom bhi hein. Lekin Kahen koi aik sitara bhi chamakta dikhayi nahi de raha he. Aor hujoom tu aesa he k dushman bhookay bheRioN ki taraH in par jhapat jhapat kar nochta jarah he aor hujoom k liye raah-e-nijaat kahein nahi miltii.
      Ye hamaray waqt ka almia he. Allah apna rahm farmaaye.

      Like

Leave a comment