WEHSHEE…


Main koi shakhs hun jo in lafzuun main chupaa baythaa hai
Main wohi dunya jis main tu ab bhi raha karta hai

Mere hastii ki har baar meray daaman ko tar hi karay
mera wajuud ki aankhun main mere har roz chubha karta hai

Nahi haasil hua mujko sharf insaan ka hai ay loogo
main wehshee hun, haan wohi muj main jiya karta hai

Mana ki muhabbat ka saleeqa meray seenay main nahi
haan magar chup kay wafa nacheez kiya karta hai

Saari dunya mere dushman, tow main chup kyun rahuun
inhii haalat se dil har roz lada karta hai

Mujko ik baar tow seenay se lagayee koi
fir kahay jaakay ye wehshee SAAGAR hi hua karta hai

By: Aiman Peer (A guest writer from Jammu & Kashmir)

.

About Aiman Peer

"The pain stains the paper with the thoughts I try to put in words..."

Posted on January 15, 2014, in Aiman Peer. Bookmark the permalink. 7 Comments.

  1. good poem and real thoughts

    Like

  2. what a beauty! jab sari duniya kisiki dushman ho jatee hai to jeena kafi aasan ho jata hai!

    Like

Leave a comment